Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

 

Hazrat Shaik Ahmed Arif

 

Rahmatullah Alayh

 

Aap Haz Sheikh Ahmed Abdul Haq Rahmatullah Alayh ke farzand arjmand aur khalifa e Azam thay. Hazrat Sheikh Ahmed Abdul Haq Rahmatullah Alayh ki zahiri hayaat ke baad masnad  e irshad par baithy aur hazaron talban e haq ki rahnumaiye farmai .

Maaraj ul Waliat ke musannif ne likha hai kay Hazrat Sheikh Ahmed Abdul Haq Rahmatullah Alayh ke jo bhi aulaad hoti thi woh zindah nah rehti thi. Jo bhi bacha peda hota tha haq haq kar kay fot ho jata tha. Aakhir-kaar aap ki biwi ne aap se hi shikaayet ki kay kya wajah hai kay jo bhi bacha peda hota hai fot ho jata hai. aap ne farmaya mere halb  mein se sirf aik aisa beta hai jo zindah rahay ga magar abhi tak is ki paidaiesh ka waqt nahi aaya mein aik safar par ja raha hon wapas aakar tumhe batau ga .

Chunancha  jab Hazrat Sheikh Ahmed Abdul Haq Rahmatullah Alayh  safar se wapas aaye to is safar ke taqreeban aik saal baad Allah Talla  ne aap ko aik beta aataa kya jis ka naam aap ne Arif rakha. aap ne apni biwi se farmaya kay usay kuch nah kehna aur Allah ki Raza par qanaat karna yeh larka bara ho kar zahiri aur baatini aloom ka yagana rozgaar hoga aur isi se faiz jari hoga .

Hazrat Sheikh Ahmed Rahmatullah Alayh  jab jawan hue to Hazrat Sheikh ne aik munasib gharana dekh kar rishta bhjwa dya. Is gharane ki manzoori mlitay hi aap mukammal tayari ke sath wahan ja puhanche aur farmaya kay hum Aqad ke liye haazir hue hain bas Allah ka naam le kar nikah parhwa dey. Is gharane ke sarbarah Sheikh Noor al Deen ke aik rishta daar Qaazi Suman ne is ki mukhalfat karte hue kaha hum apni beti ko kabhi bhi darwashon ke hawalay nahi karain gay kyunkay un ke mizaaj ka hi kuch ilm nahi hota .

Chunancha larki walon ne bahana banaya aur kaha kay abhi hum ne shadi ki tayari nahi ki is liye abhi shadi nahi ho sakti. Yeh sun kar Sheikh Abdul Haq Rahmatullah Alayh na umeed ho kar wapas khanqah lout aaye. Is ke thoray arsay baad Qaazi Suman kisi bemari mein gir gya aur log usay utha kar aap ki khanqah mein le aaye. Qaazi Suman ne aap se maffi ki darkhwast ki aap ne farmaya acha theek hai tum shadi tak tandrust ho jao gay . Chunancha Sheikh Ahmed Rahmatullah Alayh  ki shadi ho gayi lekin shadi ke baad Qaazi Suman zindah nah bacha aur intqaal kar gaya .

Hazrat Sheikh Ahmed Rahmatullah Alayh  chalees saal ki umar mein 859 Hijri ko is daar e fani se rukhsat ho gaye .